Long Shayari

Long Ghazal Shayari by SHAAZ in Hindi


Important Notice:

Protected by Copyscape

Please don't use our shayari on your Blogs, websites or any Social media pages. You are not allowed to copy our content without our permission. It is OK if you are sharing our shayari on your individual social media profile (such as your personal Facebook, google plus, twitter profile). But you are not permitted to share our stuff without our permission on any social groups or pages you are managing.
If you have taken credit for our work and caused confusion as to whom the original author of the work is. Therefore, I believe you have willfully infringed my rights. Further, such copyright infringement is a direct violation of the Digital Millennium Copyright Act and International Copyright Law. It will strictly violates our copyright policy. Read our 

Copyright Policy

Feel free to ask us, if you want share these shayari. 

 -----------------------------

Long Ghazal Shayari by SHAAZ in Hindi

 

1.  Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga




Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga,
Tere kushi k liye duniya se lad jaunga,
Jis raaste ki tu manzil no ho us raste ko mood jayunga,
Jo faisla na ho tere haq mein usse aaj mein tod jayunga,
Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga,
Teri aankon mein agar dikhe kabhi aansu to,
Un aansun ko aankhon mein aapni bhar k door tujse mein kar jayunga,
Teri raah mein aaye agar kaante to,
Unhe aapne daaman mein samet kar teri raah foolon se bhar jayunga,
Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga,
Tujhe pasand na aaya gar mera yah payar to,
Ek khwaab ki tarah teri zindagi se mein chala jaunga,
Tujhe yaad aaye ya na aaye meri sanam,
Par yeh bhi mumkin nahin k mein tujhe bhul jayunga,
Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga,
Zarurat padi payar mein agar qurbaani ki to,
Yeh shart bhi tujse pehle mein poori kar jayunga,
Is qadar chahat hai teri ki agar tu maang le mujse jaan bhi,
To haste haste yeh jaan bhi mere sanam tere naam kar jayunga,
Tujhe paane k liye mein kuch bhi kar jayunga.



-----------------------------




2.  Bhahut yaad aata hai

  

Bhahut yaad aata hai,
wo tera muskurana,muskurake yun palken jhukaana,
Fir ek aada se yun sharma jana.
Bhahut yaad aata hai,
Baat karte huae tera hansna or bas haste chale jana,
Mere dil ko bada sakun deta tha tera yun baaten karte chale jana,
Bhahut yaad aata hai,
Tere aane se pehle he ho jata tha ehsaas tere aane ka,
Fir samne aate he tera wo mujse najren milana,
Bhahut yaad aata hai,
Jab bhi dekhti thi tu yun mud mud k mujhe,
Meri khusi ka rehta nahin tha koi dhikana,
Bhahut yaad aata hai,
Wo tera baaaten kisi or se karte huae ishaara mujhe kar jaana,
Yun mujhe baar baar dekh k tere wo mujhe tadpana,
Bhahut yaad aata hai,
Tere jaane k waqt tera wo mayus ho kar mujse kuch keh jana,
Or mera haste huae tujhe bye kehna fir najren ek tak khidki pe lagana,
Bhahut yaad aata hai,
Kabhi agar mein na milun din bhar k intezar k baad tujhe,
To Agle din tera wo isharon isharon mein aapne gusse ka ehsaas karwana,
Bhahut yaad aata hai,
Tere pichhe aana or tera sadak par chalte huae mujhe dekh kar yun ruk jana,
Fir saath chalte chalte baaten karte huae tujhe ghar tak chood k aana,
Bhahut yaad aata hai,




-----------------------------




3. Kya se kya bana diya




Kya se kya bana diya,
Ek kaanta tha mein mujhko fool bana diya,
Fir us fool ko ek pal mein dool bana diya,
Kya se kya bana diya,
Pehle is kadar roshan mujhe kar diya,
fir meri zindagi ka diya he bhuja diya,
Kya se kya bana diya,
Zindagi itni khaas to na thi,
Par itni bhi bakwaas na thi,
Tune to mujhe jina he bhula diya,
Kya se kya bana diya,
Pehle to khali waqt mein has leta tha,
Kabhi kabaar gaa bhi leta tha,
Aab to sara waqt he tune khali karwa diya,
Kya se kya bana diya,
Kabhi tune kaha tha mujse payar ka ijhaar karna chaiye,
Or jab chahne laga tujhe to tune kehne ka bhi waqt na diya,
Kya se kya bana diya,
Kabhi kehti thi 7 din bin tumhare 7 janmon se kam na honge,
Or aaj intezaar karwa k har pal ko 7 janamon se bada bana diya,
Kya se kya bana diya,
Har baar saath saath chale ki baaten karti thi,
Jab humne saath chalne ka man banaya to,
To har kadam ko ek lamba faasla bana diya,
Kya se kya bana diya,
Kehti thi aap mein ek humsafar dikhta hai,
Or jab waqt aaya humsafar banane ka to,
Humsafer to door bhari mehfil humen tanha bana diya,
Kya se kya bana diya,
Aab kya kahun tujse or kya mangun tere liye aapne raab se,
Tere liye to duaa he nikli hai or duaa he niklegi mere dil se
Par Sawaal karta rehega dil mera kyun tune mujhe ek pal mein gair bana diya,
Kya se kya bana diya.


-----------------------------



4. Kyun na roka meine tujhe




Kyun na roka meine tujhe,
Tune mud mud k dekha mujhe,
Or meine de diya dokha tujhe,
Kyun na roka meine tujhe,
Tu to har pal thi meri or sirf meri,
Par samajne ho gayi mujse thodi deri,
Kyun na roka meine tujhe,
Tune to har lamha mere naam kiya.
Or badle mein meine tujhe "Tanhaai" yeh inaam diya,
Kyun na roka meine tujhe,
Tu baar baar kehti rahi mein chali jaaungi,
Lakin mujhe umeed thi tu kehegi tumhare liye baapas aaungi,
Kyun na roka meine tujhe,
Or aaj tu sach mein chali gayi mujhe tanha choodh kar,
Puchta hun tujhse kya ji legi tu mujse muh mood kar,
Kyun na roka meine tujhe,
Tera to pata nahin kaise jiyegi tu mere bin,
Par mein to mar raha hun har pal tere bin,
Kyun na roka meine tujhe,
Mangta hun duya har roj tere liye us se jise kehte hain khudda,
Tu khush rahe salamat rehe chahe ho mujse kitni bhi judda,
Kyun na roka meine tujhe,
Iska afsos rehega mujhe,
Par jab dekunga khush tujhe,
To kahunga accha kiya,
Jo na roka meine tujhe.




-----------------------------



5. Galti meri thi



  
Galti meri thi,
Tune to har pal mujhe payar kiya,
or meine har pal tujhe bekraar kiya,
Galti meri thi,
Tune mujse maanga to kya bas saath mera,
Par meine nahin thaama kabhi haath tera,
Galti meri thi,
Tu har waqt baat karne ko betaab rehti thi mujhse,
Lakin mein kabhi bhi keh na paya Haal-E-Dil tujhe,
Galti meri thi,
Tune to itna bhi keh diya mein badati hun haath tum thaam lo,
Par majboori thi meri,aapne haathon se kaise deta tujhe zeher ka jaam ko,
Galti meri thi,
Aaj mein chahata hun tum mujhe pyar karo,
Par aaj waqt tumahara hai jitna chaho mujhe bekraar karo,
Galti meri thi,
Chahiye mujhe aaj bas saath tera,
Par pata hai mujhe tum na thamogi aab haath mera,
Galti meri thi,
Tumse baat kaat karne ko tadapta hai dil hai har pal,
Jaanta hun tum no hongi aab rubaru mere yun he tadpunga mein har pal,
Galti meri thi,
Haal-E-dil bayan karna chahta hu tumse aaj,
Bas ek aakhri baar mangta hun kuch tumse rakh lena mere is pyar ki laaj,
Galti meri thi,
Aaj badal diya hai tere liye khudh ko,
Ek baar aawaaj de saamne payegi tu mujh ko,
Tu bhi samaj meri halat ko mat tadpa or mujhe,
Na aayi tu to mein bhi tabah kar lunga khud ko,
Fir mat kehna kisi se k,
Galti meri thi.

 -----------------------------

6. Jo bewafa hai uska kya etbaar karna




Jo bewafa hai uska kya etbaar karna,
Jise matlab nahin malum pyar ka,
Us se kaisa pyar karna,
Jo bewafa hai uska kya etbaar karna,
Jo har ek ko keh de teen shabd pyar k,
Us se kaya aapne pyar ka ijhaar karna,
Jo bewafa hai uska kya etbaar karna,
Jiski fitrat hai har pal rang badalne ki,
Us bewafa k kon se rang pe aab etbaar karna,
Jo bewafa hai uska kya etbaar karna,
Jo badalti hai ladkon ko aapne chale ki tarah,
Hum kab tak sang reh payenge saath uske ek zhale ki tarah,
Jo bewafa hai uska kya etbaar karna,
Uska pyar kabhi sacha tha he nahin,
Or hum sochte rahe tujse badkar hamare liye koi or nahin,
Jo bewafa hai uska kya etbaar karna,
Na pyar kisi se karna na aankhe chaar kisi se karna,
Kisi k liye khud ko kabhi yun bekrar na karna,
Jalim hain is duniya mein sab k sab,
Kisi se bhi had se jayda tum pyar nahin karna.
Jo bewafa hai uska kya etbaar karna.




-----------------------------
 

7. Suna hai waqt har zakhm pe malham lagata hai



Suna hai waqt har zakhm pe malham lagata hai,
Fir kyun mera dard badta hi chala jata hai,
Kya inta gehra zakhmon se mera nata hai,
Suna hai waqt har zakhm pe malham lagata hai,
Zhakm chahe jaisa bhi ho dard to de he jata hai,
Fir kyun insaan aapne zakhmon ko chupata hai,
Suna hai waqt har zakhm pe malham lagata hai,
"ZAKHM DARD ISHQ" inka to choli daaman ka nata hai,
ek jata hai to uski jagah dosra chala aata hai,
Suna hai waqt har zakhm pe malham lagata hai,
Tu kyun in zhakmon se gabrata hai,
Inhi zakhmon ko tu sine se lagata hai,
Inki jamaat mein aab ek or sahi,
Dekenge kuch waqt k baad yeh kitna tujhe ghayal kar k jata hai,
Suna hai waqt har zakhm pe malham lagata hai.



-----------------------------



8.  Jab tak tu mere saath hai






Jab tak tu mere saath hai,
Mein to har bar tera saath nibhaunga,
Tune gar chod bhi diya mera saath,
To bhi har mushkil waqt mein tere ,
Teri zindagi mein dakhal dene chala aayunga.
Mein to har bar tera saath nibhaunga,
Tu chal tujhe jis raah pe chalna hai,
Tere saamne aaygi jo bhi mushkil,
Mein usse chun chun k hataunga,
Mein to har bar tera saath nibhaunga,
Tere khushi hai gar kisi or k saath,
To khush rehna tu ussi k saath,
Mein bhi dar pe tere khada ho k,
Tere har gum ko door tujhse karta jayunga,
Mein to har bar tera saath nibhaunga,
Socha na tha meine kabhi, aaj wo waqt aa gaya hai,
Kya fark padta hai aab, tune faisla he aisa kiya hai,
Mein door reh k bhi tujhse ek na ek din yaad zaroor ayunga,
Mein to har bar tera saath nibhaunga,
Dil kehta hai thaam lu aaj mein haath tera,
Par kya tujhe bhi pasand hoga aaj ki tarikh mein saath mera,
Na apnaya gar tune mujhe to kya hoga,
Pyar to meine bhi kar liya hai aapne hise ka,
Tamam umar aab to sirf tujhe he mein chahunga,
Mein to har bar tera saath nibhaunga,
Tujhse he sikha tha meine 'PYAR' kya hota hai,
Or aaj tu khud bhool gayi INTZARE-E-Pyar kya hota hai,
Lakin mein fir tere aane ki chah mein palken bichaunga,
Mein to har bar tera saath nibhaunga.


-----------------------------



9.  Na jane log kaise badal jate hain






 Na jane log kaise badal jate hain,
Hum to jaise the kal,khud ko 
aaj bhi baise hi paate hain,
Aandiyan aati hain to jara se hil jate hain,
Tufaano mein ladkhada bhi jaate hain,
Bhari Barsaat mein khush ho ke nahate hain,
Thand mein aksar akkad bhi jate hain,
Na jane log kaise badal jate hain,
Pehle to sapnon ko suraj ki tarah chamkate hain,
Fir Umeed ki us dhundli se kiran ko apne hi haathon se mita jate hain,
Na jane log kaise badal jate hain,
Kabhi kehte hain door no hona ek pal bhi humse,
Fir kuch waqt saath bitane k baad saamne aate hain is tarah,
Jaise kabhi mile he na hon aise tanha chod jate hain,
Na jane log kaise badal jate hain,
Pehle to saath saath chalne ki kasme khaate hain,
Fir do kadam chalne k baad wo rasta he bhool jate hain,
Na jane log kaise badal jate hain,
Par E-Shaaz tu na badlna kabhi is zamane ki tarah,
Jahan laga ho mela wahan aksar naye chehre hi najar aate hain,
Jo the jane-pehchane wo chehre to bheed mein kho he jate hain,
Na jane log kaise badal jate hain.

-----------------------------


10.  Meri JAAN jane lagi hai




Meri JAAN jane lagi hai,
Tu baaten chupane lagi hai,
mujse doori tu badhane lagi hai,
Meri JAAN jane lagi hai,
Shayad kisi or ka sang tujhe ras aa gaya hai,
Isliye aab tu mujhe bhool jane lagi hai,
Meri JAAN jane lagi hai,
Tu to is zamane si zalim na thi,
Fir kyun mere pyar ko tu aajmane lagi hai,
Meri JAAN jane lagi hai,
E-Shaaz kya pyar itna bedum tha tera,
K tujhe gairon se iski mout ki khabr aane lagi hai,
Meri JAAN jane lagi hai,
Pehle to tu aawaj de k bulati thi mujhe,
Aab tu mujhse door jane k bahane banane lagi hai,
Meri JAAN jane lagi hai,
Tujhe dil mein bithaya tha,Palkon mein chupaya tha,
Meri to jaan thi tu haan shayad issi liye,
Meri JAAN jane lagi hai,
Kabhi jaam ka naam na tha zubaan-E-Shaaz par,
Or aaj teri yaad Khud-B-Khud jaam uthwane lagi hai,
Meri JAAN jane lagi hai,
Kyan kahun kaise kahun kya reh gayi hai zindagn tere bin,
Tu aaja lout kar waapas meri zindagi mein,
aab to yahi sada har taraf se aane lagi hai,
Fir na kehna tu bhi kabhi k,
Meri JAAN jane lagi hai.


-----------------------------

SIQ
We are moved to another domain. Catch us on
 Shayari Images Quotes 


33 comments:

  1. perfec..t, can i as well post some?

    ReplyDelete
  2. read more here:
    http://24x7only4u.blogspot.com/2016/02/aankhon-se-teer-na-chalaya-kar-zalim.html

    ReplyDelete
  3. This comment has been removed by a blog administrator.

    ReplyDelete
  4. thanks for providing sayari this site have also a best sayaries www.truelovesayari.ml

    ReplyDelete
  5. Unka Haal Bhi Kuch Aap Jesa Hi Hoga,
    Aapka Haale Dil Unhai Bhi Mehsus Hoga,
    Bekarari Ki Aag Me Jo Jal Rahe Hai Aap,
    Aap Se Jyada Unhai Is Jalan Ka Ehsaas Hoga
    i love you

    ReplyDelete
  6. Kuch kash nehi apki shayari main !👎

    ReplyDelete
  7. I want to share this in my YouTube channel

    ReplyDelete
    Replies
    1. hi,
      you can share, but not the entire shayari. If you are going to make a video on any of our Ghazal Shayari, pls don't do this.
      You are only allowed to share using our blog link. If you want to make a video, then use only some part of the ghazal, or a single sher, not the entire ghazal. And then must link back to this blog.
      Thanks

      Delete
  8. Super se uppr

    kuch line dost ke uppr likho

    ReplyDelete
    Replies
    1. thanks
      Will try to post here
      pls check here:
      https://24x7only4u.blogspot.com/search/label/Dosti%20Shayari

      Delete
  9. Shukriyaa hm aapki shayari ki madat se aaj hm apni shayari bna paate h

    ReplyDelete
  10. can i use this shayari on my youtube channel

    ReplyDelete
    Replies
    1. Hi,
      I'm glad that you liked my shayari. But nobody is allowed to use my shayari's in any way. Neither on youtube nor on their blogs/websites. So please don't do this, read the 'Important Notice' on top of the page.
      I hope you will understand.
      Thanks

      Delete