Short Shayari

Short-Shayari---4-Liner-Sher-in-hindi-by-SHAAZ


Important Notice:

Protected by Copyscape

Please don't use our shayari on your Blogs, websites or any Social media pages. You are not allowed to copy our content without our permission. It is OK if you are sharing our shayari on your individual social media profile (such as your personal Facebook, google plus, twitter profile). But you are not permitted to share our stuff without our permission on any social groups or pages you are managing.
If you have taken credit for our work and caused confusion as to whom the original author of the work is. Therefore, I believe you have willfully infringed my rights. Further, such copyright infringement is a direct violation of the Digital Millennium Copyright Act and International Copyright Law. It will strictly violates our copyright policy. Read our

Copyright Policy

Feel free to ask us, if you want share these shayari. 
  
-----------------------------

Short Shayari - 4 Liner Sher 


Aap bhool gaye,
Aab yaad dilaane se kya fayada,
Un dhundali yaadon se dhool hata kar,
Aapna naam yaad dilaane se kya fayada.



Aakele the or aaj fir se aakele ho gaye,
Door khushiyoon k sare mele ho gaye,
kal tak saath the wo jo kehne ko aapne the,
Aaj bhari mehfil mein ek baar fir aakele ho gaye.





Lagta Hai Har Koi Zakhm khaye Baitha Hai,
Kisi Ko Pane Ki Aas Lagaye Batha Hai,
Ya Khudda Na Karna Kisi Ko Door Uske Pyar se,
SHAAZ to Aapni he Galtiyon Se Usse Gawaee Baitha Hai.





Aandiyan he chalengi baadal na barsega,
Ek na ek din tera dil bhi mujse milne ko tarsega,
magar mein na milunga laakh dundne par bhi,
Uss din meri he tarah teri aankhon se bhi saawan barsega.



Hasne ko dil kar raha hai,Gaane ko dil kar raha hai,
Aaj aapna gum manane ko dil kar rah hai,
Rusva nahin kar raha tujhe,
Bas aaj tanha he mehfil sajaane ko dil kar raha.




Mein na rokunga jahan mile khushi wahan jaao,
Meri yaaden dard deti hain to mujhe bhool jaao,
Jise zakmon ki aadat ho use kya dard ka ehsaas karana,
Mat socho mere bare mein tum aapni zindagi ko sajaao.


Mera sanam bada khaas hai,
Jis tak aa k ruki meri talaash hai,
To kya huaa k aaj door hai wo,
Is dil k to wo hamesha hi paas hai.



Jis kisi pe bhi bhishwaas kiya usi ne dukhaaya hai,
Jisko bhi hansaaya usi ne mujhe rulaaya hai,
Logon ka kasoor nahin fitrat hi aisi hai is duniya ki,
Jis ghar mein ujaala dekha usi ghar ko sabse pehle jalaaya hai.



Taqdir har baar saath nahin hoti,
Bebajah kabhi koi baat nahin hoti,
Sahara har koi chahta hai par,
Mahobat kabhi sahare ki mohtaaj nahin hoti.




Teri yaadon k sahaare jiya karte hain,
Chehra tera yaad kar k zakhmon ko aapne siya karte hain,
Tujhse milne ki umeed zinda hai abhi isiliye,
Darwaaje pe rok k Mout ko, khidhki par tera intezaar kiya karte hain.



Barsaat thi mosaam bhi hara-bhara tha,
Paani bhi patoon par bunden ban k thehra tha,
Phool sare khile the, sabhi jharne bhi nadi se aake mile the,
Bas ek mein tha jo murjhaya chera liye khadda tha.




Kisi or ki taraf humne najar ko kabhi uthhaya nahin,
Naam kabhi koi doosra zabaan par aaya nahin,
Unke siva kisi or se kabhi ishq farmaaya nahin,
Or wo kehte hain k humen ishq karna kabhi aaya hi nahin.





Taqdir mujh par mehrbaan ho rahi thi,
Dil ki har dhadhkan ro rahi thi,
Aankhon se behte ashq na dekhen isliye,
Barsaat bhi bade joroon se ho rahi thi.




Pyar ko kabhi bhulaaya nahin jaata,
Dooriyon ko pyar main laya nahin jaata,
Pyar to doosra naam hai khuda ka,
Or khuda ko is tarah aajmaya nahin jaata.



----------------------------

SIQ
We are moved to another domain. Catch us on
 Shayari Images Quotes 


1 comment: